computer tricks and tips, technical news, hacking news, and other jankari hindi me jani hai.

=

Windows 10 Main Screenshot Lene Ke Kuch Khas Aur Amazing Tricks.

Windows 10 Main Screenshot Lene Ke Kuch Khas Aur Amazing Tricks.



Hello friends jaisa ki ap sabhi jante hain ki ab jaise jaise technolgy ke yug main ham age badte ja rahen hain waise hi ham new new tricks aur tips ke bare main bhi jante ja rahe hain.

Lekin sirf aisa hi nahin hai ki sirf aur sirf ham log hi age bad rahe hain jis tarah se ham log age bad rahe hain usi tarah se technology bhi age bad rahi hai ek time tha ki ham log Window 7 ko latest technology se jod kar dekhte the but ab wo time nahin raha ab to uske bad Window 8 ayi phir uske bad Window 8.1 ayi and now ab ham Window 10 use kar rahe hain.

So friends jaisa ki ap jante hain ki jaise jaise technology age badti jati hai waise waise hi usme kuch khas aur amazing changes ati jati hain.Friends ab hame unhi changes aur tricks ko janna hai aur aj ke article main ham apko aisi hi kuch khas tricks ke bare main batane wale hain ki kaise ap window 10 main screenshot alag alag keys ko use karke le sakte hain.

Friends jab bhi screenshot ki bat ati hai tab man main sirf aur sirf yahi ata hai ki simply ham print screen button par click karenge aur bas hame hamara screenshot mil jayega.Magar friends kya ap hamesha se sirf aur sirf itna hi janna chahenge ya iske alawa bhi aisi bahut si simple and amazing tricks ke bare main bhi janna chahenge.

friends agar a iske alawa bhi janna chahte hain to ready ho jayen aj main apko window 10 se related kuch amazing trciks ke bare main batane wala hun jo apko sach main bahut pasand ane wali hain.

Doston abhi window 10 ke bahut se features ke bare main ham log nahin jante hain magar don't worry ap sabhi ke bare main nahin jan sakte hain lekin usmese kuch ke bare main to jan sakte hain.

So friends ab main apko batane ja raha hun ki ap kaise kaise aur bhi keys ke through window10 main screenshot le sakte hain.


1. Alt+Print Screen

Friends is simple keyboard combination ko ap rozana use jarur karte honge.Ap simultaneously Alt aur Print par click karte hain aur apka screenshot capture ho jata hai aur friends main apko batana chahta hun ki window 10 main ap is trick ko tab hi kar payenge jab apki window active ho.

Because friends bahut si Displays aur multiple Monitors open window ke sath load hote hain.So friends ye sabse simple aur perfect way hai ki ap is way ki through ap apni screen par most important stuff ko capture kar sakte hain.

Jaise ki friends apko bas simple Alt+Print screen key ko press karna hai aur bas apka screenshot image apke clipboard main save ho jata hai.Agar ap is image ko access karna chahte hain to apko jarurat hoti hai ki ap isko paint ki tarah 1 app main paste kar den.

2. Win+Print Screen

Friends jaisa ki maine apko upar ek trick ke bare main btaya hai jisse ap screenshot le sakte hain aur ye bhi bataya hai ki wo file kahan save hogi.So friends ab bari hai dusra tarika ya dusra method batane ki jisse ap dusre tarike se screenshot le sakte hain.

Friends main bas sirf aur sirf ye isliye apko bata raha hun ki apko jyada se jyada method asake aur ap kam time main jyada work kar saken.Jahan tak sawal hai ki apko isse related dusre method ke bare main pata hai magar jo ham apko bata rahe hain ye apke liye bahut hi different aur usefull hain.

So friends hamara second method ye hai ki ap simple Win+Print Screen ko hit karke screenshot le sakte hain aur ye screenshot directly apke drive main save ho jayega.Photos pictures library main save ho jate PNG files ke roop main.

Doston ye best tool  hai apke liye agar ap apne screenshot se fast image capture karna chahte hain.Ye fast aur asan hai isse ap bas Win+Print Screen ko hit karke asani se screenshot ko ek image ke roop main save kar sakte hain.

Friends agar ap kisi wajah se Alt+Win+Print Screen se unfortunately screenshot save nahin kar sakte hain tab ap is simple steps ko use karke apna work pura kar sakte hain.

3. Win+H

Ab friends ham log age chalte hain apne next methods ki or so friends agar ap un sabhi methods se bhi fast trick chahte hain to ab ap is trick ko use kar sakte hain isme simple apko bas 2 key ko press karna hai aur apka work pura ho jata hai.

Friends agar ap Universal Windows apps use karte hain to ap is trick ke roop main is shortcut ko apna sakte hain.Isme ap simply Win+ H ko press karke normaly ek other method se ap apne desctop main screenshot create kar sakte hain aur us screenshot ko other apps main  share kar sakte hain.So friends ye ek aur alag method hai Window 10 main screenshot create karne ka.

Friends ap soch rahen honge jab hame upar sabse pahla wala method pata hi hai to ham qun dusre method ko sikhen magar friends ye method apke liye janna bahut jaruri hai kyonki ap hamesha ek hi desktop par hi work nahin karte rahenge.

Age apko alag alag tarah ke desktop use karne ko milenge to kabhi kabhi kya hota hai ki kahin kahin wo method agar work nahin karta hai to apke pass aur bhi option rahenge aur phir jab apko ek sath kai method ate honge to ap ek nahin to dusri trick ko use karke apna work pura kar sakenge.

4. Win+ Volume Down

Ab friends last aur final main apko batana chahta hun waise to friends iske aur bhi kai tarike hain lekin main apko itne hi bata raha hun kyonki main apko age ke apne article main dhire dhire batata rahunga.Doston is trick main ap simple Win+ Volume Down key ko press karen aur apka screenshot create ho chuka hai.

Friends ye sabse simple aur usefull method hai aur sabse different bat ye bhi hai ki ise ap desktop ke sath sath Tablets main bhi use kar sakte hain yani ab ap bas sirf Desktop main hi screenshot nahin le sakte hain balki ap is trick ko tablet main bhi use kar sakenge.

So friends ye to maine apko bas kuch hi tricks ke bare main bataya hai apne age ke article main windows 10 ke bare main new new tricks ke bare main batata rahunga yani jitna bhi ho sakega main apko batata rahunga.

Friends mera bas sirf aur sirf ek hi maksad hai ki apne INDIA main jyada se jyada logon  ko computer ki knowledge ho aur jahan tak yahi koshis bhi rahegi ki technology se related koi new tricks aur new news ayegi to main apne Blog ke through ap tak pahunchata rahunga.

And last friends ummid karta hun apko hamara ye article pasand aye.
Previous
Next Post »